Iljam

Tehjib ko lekr chalte rahe

Iljam lgte gye

Shanti se hum chalte rhe

Iljam k silsila v chlta rha

Aur v iljam judte gye

Iljam k inaam m badnam log krte gye

Khamoshi meri kamjori nahi

Na meri manjuri h

BSS ye sb meri liye jaruri nahi

Har pal jeena h mujhe ,na ki iljamo k jawabdehi m gawana h

Jawab to h har baaaton k pr jawab dekr kya fayada h!

Iljam lg jaane do ,badnam ho jaane do! Jiska Naam bada wahi badnam bada!

13 Comments

  1. Yun to kayi silsile chalenge,
    Ek kya 100 ungliyan bhi uthegi,
    Sabko tavajju do ye zaruri to nahi,
    Aur agar dene lago kis hisaab se ye zindagi chalegi,
    Ilzaam lagate hai wo jo kuch kar nahi pate,
    Udte parindo ke parr kaatna he aata hai,
    Par udaan me parindo ko kahan koi dikhta hai…!!

    Like

    1. pihu says:

      Aisi he khoobsurat soch se udne k hausla milta h
      Illjam hazar v mil jaye
      Farak padta h kya?
      Ek sath ho kadam se kadam milne k
      To kya farak padta h logo se
      Humse log h
      Logo se hum nahi

      Liked by 1 person

      1. Ye baat to sahi kahi ke farak nahi padta,
        Ek saath chalne se manzil ka pata nahi lagta,
        Yun to humsafar bhi beech raah chale jaate hai chhod ke,
        Fir duniya ki nazron ka ilzaam he hai lagta,
        Udaan ko karna itna buland hai ke akele bhi ude to farak nhi padta..!

        Liked by 1 person

      2. pihu says:

        Udana to akele he h ,
        Sath ki jarurat nahi
        Koi hausla de de to
        Aisa lgta h manzil dur nahi

        Liked by 1 person

      3. Aapka hausla afzahi me kar dun to chalega,
        Manzil tak chhod ke aa jaun to chalega,
        Udaan pe teri jo muskuradun to chalega,
        Kya koi aisa bhi dost tujhe chalega…!

        Liked by 1 person

      4. pihu says:

        Matlabi duniya m
        Bematlab sa dosti kare
        Aisi dosti mil jaye to patta batana
        Ush raste shauq se jana pasand krungi

        Liked by 1 person

      5. Bematlab to kuch nahi hai duniya me,
        Sabka apna apna nazariya hai,
        Ek khamosh si zindagi guzar rahi hai,
        Kya pata ek dosti ki raah dekh rahi hai,
        Ab chaahe matlab maano ya bematlab,
        Honton ki hasi ko barkaraar hai rakhna,
        Hum bhi shayar tum bhi shayar,
        Kya he matlab hoga iss dosti ke andar…!!

        Like

      6. pihu says:

        Dosti k agaaj h
        Naye andaaz m
        BSS janti nahi apka naam?😁

        Liked by 1 person

      7. Kuch benaam log hé aksar sab sawaalon ka jawaab ban jaate hai,
        Abhi to hai agaaz to aitbaar rakho naam bhi aage batate hai,
        Benaam ki dosti bhi aksar kamaal kar deti hai,
        Naam me kya rakha hai dosti to jazbaat se hoti hai…

        Liked by 1 person

      8. pihu says:

        Naam se anjaan rahu
        Ye v sahi h
        Konsa naam inshan ki asli pehchaan de jaati h
        Naam m kya rakha
        Inshaan k kaam kaisa h ye jaruri h

        Liked by 1 person

  2. Sahi kaha ab ye bhi bata do kya raha is baat ka saar hai,
    Manzur hai ye dosti ya ispe bhi inkaar hai???

    Liked by 1 person

Leave a Comment