Intezaar ijhaar k

Tu jaruri Nahi

Na meri Tu jarurat h

Jee to hum aise v lenge ,tere bagair

Phir v phursat se tera intezar Kr k baithe h

Assh lga kr baithe h ki m Teri chaht banu,adat banu, jarurat banu ,aur jaruri v

Jee to lenge hum tere bagair v

Pr assh lga kr baithe h

Tujhse Dil lga k jo baithe h

Izhaar to hum Karne se rahe,assh lga kr baithe,intezaar kr k baithe h

M Teri Jaan banu aur jahan v

Tujhse Dil lga kr Jo baithe h

Teri oor!

Mere kadam mere na rahe

Na mere nazar mere rahe

Khud pe kaabu kho diya

Mere kadam mere na rahe

Badhte gye badhte gye

Jis oor Tu Chala
Mere nazron ne tujhe kaid krne ki Jaise kasam kha rkhi thi

Jis oor Tu Chala ,meri nazron ne tera khub peecha kiya

Mere kadam mere na rahe

Teri oor he badha

Sath he mera dadhkan v badha

Besudh ,ho kr Teri oor he chala

Bhidh m bhidh k pata n Chala,BSS Teri oor chala

Achanak thokar Jo laga

Khud pr bharosa n Raha

Ehsaash hua

Pyar k! ,Jo barso se Daba tha

Ek jhalak n tere phir se besudh kr diya

Phir se Teri oor chala

Jis Orr Tu Chala

Mere kadam mera n Raha

Na mera nazr mera raha

Mere nazro se Jaise he Tu ojhal hua

Ehsaash hua!

Ek tarfa pyar tumse phir ek Baar aur hua!

Khaali

Aag m tap kr kundan bnane ki chaht m

JAL kr rakh ho gye

Jo Kuch v thoda bacha tha khakh ho gye

Tutna bikhrna phir se khud ko sametna v Baki n Raha
Saare zazbaat aag m JAL kar rakh ho gye

Ankhon ki chamak v kho gyi ,ankhon ki motii v Baki na rhi

Zindagi m Chahe ab bahaar aye ya sukha pad Jaye ……saare zazbaat JAL kr rakh ho gye ,Jo Kuch v bacha tha khakh ho gye

Khali hoon Ander se , ab koi pareshani v pareshan Nahi krti !

Kundan banane ki chaht m raakh ho gye ,Jo Kuch bacha tha sab khakh ho gye

Beshaq Lagta h ab shamshaan ho gye

Shanata to Chaya h pr shanti Nahi

Pareshani to AV h pr m ab pareshan Nahi

Sukh chuka h ashoonwo Ka samander

Kuch Baki na raha mere Ander

Khali hoon ,sab JAL kr raakh ho gye ,Jo bacha tha sab khakh ho gye

Lalach

Kalyug k sartaj

Pehne lobh lalach k Taj
Nahi ata Apne kartuto se baaj

Khud pe krte h itna naaz

Inhe lgta h Puri duniya h inki mohtaj

Bebas lachar logo pr krte h Raj.

Rangbaaz waqt waqt pr rang badalte h kalyug k sartaj.

Chhal kapat inki har saaz m

Kahi baljori ,Kahi seenajori ,to Kahi karte jihojori

Uthate h fayada dushro ki majburi k

Kalyug k sartaj

Pehne lobh lalach k taj

Har chij ki kimat Hoti h

Inshan hoon

Inshaan se he pareshan hon
sab Apne MATLAB ke Yaar h

Sabko paison se pyar h

Riston m darar h

Sabko paiso se pyar h

Dil aur dimag k war m jeet dimag ki Hoti har Baar h…inshaano k bich khadi Hoti h nafrat k diwaar h

Inshaan hoon ,inshaan se he pareshan hoon!

Har chij k mol lgate h,har chij ko taraju m taulte h

Mohabbte – ijhar

Krti rhi  shikyat har Baar …ek Baar to labjo se Baya kr…mohabat k ijhar kr

Majal ho Jo meri chahat Puri ho

Sabdon ki Kami se

Mere ankhon m aksar nami rhi

Phir v mohbatte ijhar unkahi rahi

Chahat thi Jo adhuri rahi…ek Baar to bata mere mayne kya h Teri Zindagi m..mann he Mann m sehmi rhi

Phir ek sham aisi aai ,ushne do sbdon m Kuch aisa Bola Kuch Der k liye meri dhadkane thami rhi

“Mera tujhe se he wasta tujhse se he rabta” ye sunte he aisa lga Jaise koi Sapna

Mera to khusi k thikana n rha ,

Kuch Der m pata chal he gya,ye sham m chadhye hue jam k asar h  ,ushne shayd he Kuch kasar chodhi mohabatte ijhar krne m

Mohabatte ijhar chahe Jaise v haal m hua ho,kushi se mere ankhon m nami rhi